Choti si ladki jo chote sher se aai thi apni manzil dhunne aur achanak uske manzilo ke raste mein use ‘RUIA’ najar aaya usne apne kadam Ruia mein rakhe aur uske jeevan mein nayi shurvat hui.Use Ruia ne kadam kadam pe protsahit kiya, aage badhna seekhaya, mushkilo ka datkar saamana karne ki takat di, naye Dost banana seekhaya,
Jab voh Ruia mein aai thi toh bilkul chup chap se rehti thi par Aaj use badalna seekhaya Aaj voh ek nayi ladki hai jo ab kisise nahi Darti. sabke saath dosti ka haath badhati hai.
Ruia uske liye ek college hi nahi hai balki uska apna dusra ghar bhi hai, kabhi bhi ye ruia use akele mehsus hone nahi deta, kabhi kabhi toh lagta hai ki Ruia se janam janam ka nata hai najane kabse, isse apne zindagi se nikalne ka maan nahi karta hai par kehte hai na ki kuch rishte bas kuch chand palo ke liye hote hai aur wahi pal maan mein bas jate hai.
In panch saalo mein us ladki ko kya se kya bana diya jaha vahi ladki logo se baate karne ko darti thi Aaj wahi ladki azad panchi ki tarah ud rahi hai. Bina kisise dare aaj wahi ladki apne baato se logo ka maan jeet rahi hai.
In panch saalo mein itna kuch hua ki ab use ye ghar chodne ka maan nahi ho raha hai, par kya kare ab bechad ne ka waqt karib aa raha hai, bechande ke waqt use voh har ek baate yaad aa rahi hai, jo usne in panch saalo mein kuch meethe pal bitaye hai.
Voh Jr. College, Ruia katte par girl’s gossip karna, Ruia nakka, apna college canteen, Sr. college ka campus, library se books issue karna, barish ke mausam mein Quadrangle mein bheeg na, Reading Hall mein chup ke se Gupshup, Teacher’s staffroom mein ja kar apne doubts se satana, triangle par baithkar angle lagana, Conference Room me mikes se masti karna, Garden mein photos click karna, gazhibo (house hut) me ghanto baate karna,
Exams ke ek din pehle padhai start karna, LCR mein exams se waqt dosto ke saath padhana, Exam hall se 1 ghante pehle paper likhke bahar nikalna aur friends ke liye wait karna, lectures bunk karke movies dekhne ya ghumne jana, ek taraf teachers se daat khana, aur dusri taraf teachers ne appreciate karna, subject topper banana ek shock ki baat hona,cambridge university competition mein state level tak pochna big acheivement,
Auditorium aur G-12 mein mauj masti karna, MMCC me apna Raj chalana, vo podium se presentation dena, notes ke liye Xerox ke pass line lagana, assignment submission ke liye time kaam milna, din raat assignment ke liye mehnat karna,
Fresher’s day, Rose day mein roses n rose cards milna, Utsav-aarohan mein dhamaal karna, sports day mein jor jor se cheer karna, Vishnu ki cutting chai ki ek pyali pina, katte wala chocolate sandwich, sai juice centre ka freshlime n cold coffee, DP’s ki pav bhaji n masala pav, mani’s ka unlimited sambhar n chutney, sherry’s ki franky, thambi mein ghanto baitkar gossip karna, gulshan ka chicken special,
CCD mein assignment discuss karna, boring lectures mein sona, concession ke liye queue mein rehna, Mosaic ki taiyari aur bahut sare keede karna, college mein dosto ka b’day celebrate karna, pedu ko kosna, stage pe drama practice karna, IV ki masti bhare yaade, S-24 ki bhoot ki kahani.Team building excercise mein dosto ke saath bahut sari masti karna, Bmm Fatte awards ceremony mein bahut hasna aur hasana,
Ye sare bitaye hue meethe pal yad aa rahe hai voh ladki koi aur nahi balki me hi hu. Sacch mein aaj mujhe apna ghar chodne ka bilkul bhi maan nahi kar raha hai bade dukh ke saath alvida karna pad raha hai, Ruia se ek atut bandhan hai jisse koi bhi tod nahi sakta hai
thanku soooo much Ruia for giving me such a beautiful memories n all wonderful group of friends....
jate jate mi sirf ye kehna chahungi I M PROUD TO BE A RUIATIE !!!!
I Will Miss U Ruia....!!! Majha Ruia……… :(